Saturday, 28 March 2015

Hijar Ne Aisa Rishta Jora

POet.:
Aameen Ahmed.:
•
Collected By
ZuLFiqar ALi.
•
Hijar Ne Aisa Rishta Jora Astaghfar,.
•
Qatra Qatra Khoon Nichora Astaghfar,.
•
Marna Tha Ghurbat Ne Maara Theek Kiya,.
•
Lekin Mara ThOra ThOra Astaghfar,.
DiL Toota Tha Toota HiE Rehta Acha Tha,.
•
Jor K ZaLim Ne Phir TOra Astaghfar,.
•
Aankh Ne PaLa Aur SanbhaLa Khoob Magar,.
•
NikLa Har Ek Ashk BhagOra Astaghfar,.
•
Shab Khoon Mare Roz Meri In AankhOn Par,.
•
Teri Yad Ka Sanki GhOra Astaghfar,.
•
Bhook Utari ZiLat Orhi Jeewan Ne,.
•
Aur Na Koi Rasta ChOra Astaghfar,.
•
Aik Zara Si Laghzish Par Is DiL NE Aameen,.
•
Mujh Ko Sari Rat JhanjhOra Astaghfar...!!
•
[Nic3gzL]

No comments: